Ek Ladka Hai Jo Mujhe,Mujhse Jyada Chaahta Hai...!!!!
Kagaz par pade adhoore alfaazon ko pura kar jata hai,
Ek Ladka Hai, Jo Mujhe mujhse jyada chahta hai,
Thoda sa buddhu,
Thoda sa shayarana hai,
Meri soormayi aankho par uska Dil diwana hai,
Mashroof hai sb is shehar ki bhaagambhaag mai,
Par wo tham jata hai,
Kisi tapri ki chaaaw mai,
Uski kahani ki kashti ko
Kinaro tak laati hu,
Uske khwaabo ki duniya mai,
Ek aashiyaan mai bhi bnati hu,
Wo nahi kehta par uska har khwaab janti hu,
Uske mukhote ke piche ki rooh ko janti hu,
Mujhe rasto ki parwaah nahi,
Mai use apna ghar manti hu,
Par ye sari baate kehne se,
Na jane kyu mera man katraata hai,
Ek ladka hai jo mujhe ,
Mujhse jyada chaahta hai,
Meri saari baato ko,
Bade itminaan se sunta hai,
Mai khafa hu to haan mujhe manata hai,
Mai pareshaan hu to pareshan ho jata hai,
Agar mai chup hu to
Mera sar sehlaata hai,
Mere man mai chal rahi
Har uljhan ko siljhata hai,
Mere har adhoore khwaab ko,
Mukammal wo karata hai,
Mere maathe ki silwat ko,
Apne hontho se sehlaata hai,
Mere dil ka haal jaan uske dil ko karar aata hai,
Ek ladka hai jo mujhe
Mujhse jyada chaahta hai,
Haan
Haan mujhse pyaar behad karta hai par kehne se darta hai,
Mere hasne se lekar
Mere khfa hone tak
Har cheez use pasnd hai,
Par uske zehan mai chal rahi,
Ek gambheer si ranj,
Apne jazbaato ko shabdo mai pirota hai,
Sari asmanjas ko kavitaaon ka roop deta hai,
Par in kavitaaon ko bhi kaha mukkamal kar pata hai,
Dosti ke dayare mai,
Apne ehsaaso ko dafan kar jata hai,
Ek ladka hai jo mujhe
Mujhse jyada chaahta hai....
@Ziddi Kuri Soniya
Supper babu๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐
ReplyDeleteThankuh ๐๐๐๐ Bawa
DeleteKya bat he bawa
ReplyDeleteGajabbbb ๐๐๐๐๐๐๐น
Thankuh
Delete