Posts

Showing posts from July, 2019

Ek Ladka Hai Jo Mujhe,Mujhse Jyada Chaahta Hai...!!!!

Image
Kagaz par pade adhoore alfaazon ko pura kar jata hai, Ek Ladka Hai, Jo Mujhe mujhse jyada chahta hai, Thoda sa buddhu, Thoda sa shayarana hai, Meri soormayi aankho par uska Dil diwana hai, Mashroof hai sb is shehar ki bhaagambhaag mai, Par wo tham jata hai, Kisi tapri ki chaaaw mai, Uski kahani ki kashti ko  Kinaro tak laati hu, Uske khwaabo ki duniya mai, Ek aashiyaan mai bhi bnati hu, Wo nahi kehta par uska har khwaab janti hu, Uske mukhote ke piche ki rooh ko janti hu, Mujhe rasto ki parwaah nahi, Mai use apna ghar manti hu, Par ye sari baate kehne se, Na jane kyu mera man katraata hai, Ek ladka hai jo mujhe , Mujhse jyada chaahta hai, Meri saari baato ko, Bade itminaan se sunta hai, Mai khafa hu to haan mujhe manata hai, Mai pareshaan hu to pareshan ho jata hai, Agar mai chup hu to Mera sar sehlaata hai, Mere man mai chal rahi Har uljhan ko siljhata hai, Mere har adhoore khwaab ko, Mukammal wo karata hai, Mere maathe ki silwat ko, Apne ho...